meri aankhon mein aansu pyare
merī āñkhoñ meñ aañsū pyāre
ghar tumhārā hai tum raho pyāre
ġhair kī baat meñ na tum aanā
maiñ kahūñ aur tum suno pyāre
lutf-e-sohbat matā-e-ulfat hai
kuchh kaho aur kuchh suno pyāre
ik fareb-e-nazar hai kuchh bhī nahīñ
ye gulistān-e-rañg-o-bū pyāre
kaun kitnā vafā kā hai pāband
faisla hogā mū-ba-mū pyāre
hai tamannā tumhārī sab ko magar
tum ho aap apnī aarzū pyāre
ik mohabbat hai vo shikāyat bhī
jo kare koī rū-ba-rū pyāre
ham na chhoḌeñge sheva-e-taslīm
tum jo chāho vo tum karo pyāre
nām-levā tumhārā hai 'tarzī'
aadmī kī tarah milo pyāre
meri aankhon mein aansu pyare
ghar tumhaara hai tum raho pyare
ghair ki baat mein na tum aana
main kahun aur tum suno pyare
lutf-e-sohbat mata-e-ulfat hai
kuchh kaho aur kuchh suno pyare
ek fareb-e-nazar hai kuchh bhi nahin
ye gulistan-e-rang-o-bu pyare
kaun kitna wafa ka hai paband
faisla hoga mu-ba-mu pyare
hai tamanna tumhaari sab ko magar
tum ho aap apni aarzu pyare
ek mohabbat hai wo shikayat bhi
jo kare koi ru-ba-ru pyare
hum na chhoDenge shewa-e-taslim
tum jo chaho wo tum karo pyare
nam-lewa tumhaara hai 'tarzi'
aadmi ki tarah milo pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.