meri aankhon mein damakta hua chehra us ka
merī āñkhoñ meñ damaktā huā chehra us kā
kab se juzdān meñ rakhā hai sahīfa us kā
vo parinda jise jangal kī havā bhī na lagī
log har shāḳh se dikhlā.eñge rishta us kā
saaf bach jaate mire haath qalam hone se
kaash maiñ ne bhī likhā hotā qasīda us kā
kaun hai jo use kahtā hai añdheroñ kā naqīb
shaam hotī hai to khil uThtā hai chehra us kā
hañs rahā hogā kisī shāḳh ke pīchhe sūraj
peḌ se chhīn rahā hai koī saaya us kā
meri aankhon mein damakta hua chehra us ka
kab se juzdan mein rakha hai sahifa us ka
wo parinda jise jangal ki hawa bhi na lagi
log har shaKH se dikhlaenge rishta us ka
saf bach jate mere hath qalam hone se
kash main ne bhi likha hota qasida us ka
kaun hai jo use kahta hai andheron ka naqib
sham hoti hai to khil uThta hai chehra us ka
hans raha hoga kisi shaKH ke pichhe suraj
peD se chhin raha hai koi saya us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.