meri aankhon mein dhanak-rang sajaane aae
merī āñkhoñ meñ dhanak-rang sajāne aa.e
raat aa.ī to tire ḳhvāb suhāne aa.e
ham to samjhe the tujhe bhuul ga.e haiñ lekin
ham pe hañsne tirī yādoñ ke ḳhazāne aa.e
rāt-bhar chāñd meñ dikhtī rahī sūrat terī
phir hameñ yaad vahī guzre zamāna aa.e
oḌh kar sard siyah raat meñ ḳhushbū terī
kal sitāre koī paiġhām sunāne aa.e
thaam kar haath mirā kāñptī rut meñ phir se
tere ehsās koī aag lagāne aa.e
tū mirā ho na sakegā kabhī is duniyā meñ
kyoñ mire dil ko tire ḳhvāb lubhāne aa.e
meri aankhon mein dhanak-rang sajaane aae
raat aai to tere KHwab suhane aae
hum to samjhe the tujhe bhul gae hain lekin
hum pe hansne teri yaadon ke KHazane aae
raat-bhar chand mein dikhti rahi surat teri
phir hamein yaad wahi guzre zamana aae
oDh kar sard siyah raat mein KHushbu teri
kal sitare koi paigham sunane aae
tham kar hath mera kanpti rut mein phir se
tere ehsas koi aag lagane aae
tu mera ho na sakega kabhi is duniya mein
kyon mere dil ko tere KHwab lubhane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.