meri aankhon mein gham ki nishani nahin
merī āñkhoñ meñ ġham kī nishānī nahīñ
pattharoñ ke piyāloñ meñ paanī nahīñ
maiñ tujhe bhuul kar bhī nahīñ bhūltā
pyaar sonā hai sone kā paanī nahīñ
merī apnī bhī majbūriyāñ haiñ bahut
maiñ samandar huuñ piine kā paanī nahīñ
merā chehra lakīroñ meñ taqsīm hai
ā.inoñ se mujhe bad-gumānī nahīñ
shaam ke baad bachchoñ se kaise milūñ
ab mire paas koī kahānī nahīñ
mausamoñ ke lifāfe badalte rahe
koī tahrīr itnī purānī nahīñ
koī aaseb hai is hasīñ shahr par
shaam raushan hai lekin suhānī nahīñ
meri aankhon mein gham ki nishani nahin
pattharon ke piyalon mein pani nahin
main tujhe bhul kar bhi nahin bhulta
pyar sona hai sone ka pani nahin
meri apni bhi majburiyan hain bahut
main samandar hun pine ka pani nahin
mera chehra lakiron mein taqsim hai
aainon se mujhe bad-gumani nahin
sham ke baad bachchon se kaise milun
ab mere pas koi kahani nahin
mausamon ke lifafe badalte rahe
koi tahrir itni purani nahin
koi aaseb hai is hasin shahr par
sham raushan hai lekin suhani nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.