meri aankhon se nahin lagta ki main kis ja se hun
merī āñkhoñ se nahīñ lagtā ki maiñ kis jā se huuñ
dīda-e-hairān vaale maiñ shab-e-yaldā se huuñ
jo bhī lagtā huuñ kisī ko Thiik lagtā huuñ miyāñ
maiñ kisī bhī ruup meñ huuñ yaar kī manshā se huuñ
is ta.alluq ne bharam rakhā huā hai dostā
maiñ to us ke qurb kī poshāk kī show sha se huuñ
maiñ tujhe kaise ye samjhā.ūñ zarā sī der meñ
ek to mushkil baḌā huuñ aur phir fardā se huuñ
ek bosa aur le merī jabīñ kā ishq meñ
maiñ zamīn-e-dil-barāñ ke āḳhirī raajā se huuñ
meri aankhon se nahin lagta ki main kis ja se hun
dida-e-hairan wale main shab-e-yalda se hun
jo bhi lagta hun kisi ko Thik lagta hun miyan
main kisi bhi rup mein hun yar ki mansha se hun
is talluq ne bharam rakha hua hai dosta
main to us ke qurb ki poshak ki show sha se hun
main tujhe kaise ye samjhaun zara si der mein
ek to mushkil baDa hun aur phir farda se hun
ek bosa aur le meri jabin ka ishq mein
main zamin-e-dil-baran ke aaKHiri raja se hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.