Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri aawaz ko na qaid karo

Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

meri aawaz ko na qaid karo

Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

MORE BYYasmin Husaini Zaidi Nikhat

    merī āvāz ko na qaid karo

    azm-e-parvāz ko na qaid karo

    hai ravish merī zaḳhm-e-dil likhnā

    mere andāz ko na qaid karo

    kisī anjām-e-bad ke ḳhadshe meñ

    husn-e-āġhāz ko na qaid karo

    tum nazar ko churā ke yuuñ mujh se

    ik hasīñ raaz ko na qaid karo

    hai muqayyad ye zaat rasmoñ meñ

    dil-e-jāñ-bāz ko na qaid karo

    meri aawaz ko na qaid karo

    azm-e-parwaz ko na qaid karo

    hai rawish meri zaKHm-e-dil likhna

    mere andaz ko na qaid karo

    kisi anjam-e-bad ke KHadshe mein

    husn-e-aghaz ko na qaid karo

    tum nazar ko chura ke yun mujh se

    ek hasin raaz ko na qaid karo

    hai muqayyad ye zat rasmon mein

    dil-e-jaan-baz ko na qaid karo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now