meri baaton mein chhupe sare mani samjhe
merī bātoñ meñ chhupe saare ma.anī samjhe
koī to ho jo mujhe merī zabānī samjhe
tum se ummīd thī samjhoge mirā dard-e-suḳhan
kyā kaheñ tum bhī ise jādū-bayānī samjhe
pahle kirdār kā samjhā hai tire har pahlū
aur phir us se juḌī saarī kahānī samjhe
ek vo hai jo mirī jaan bulātā hai mujhe
ek tum ho jo use dushman-e-jānī samjhe
meri baaton mein chhupe sare mani samjhe
koi to ho jo mujhe meri zabani samjhe
tum se ummid thi samjhoge mera dard-e-suKHan
kya kahen tum bhi ise jadu-bayani samjhe
pahle kirdar ka samjha hai tere har pahlu
aur phir us se juDi sari kahani samjhe
ek wo hai jo meri jaan bulata hai mujhe
ek tum ho jo use dushman-e-jaani samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.