meri baaton pe KHamoshi ka guman hona tha
merī bātoñ pe ḳhamoshī kā gumāñ honā thā
kahāñ alfāz mujhe jin se bayāñ honā thā
jald-bāzī ne ye tartīb ulaT dī varna
ab jo sahrā hai use nahr-e-ravāñ honā thā
ḳhair achchhā huā bas tark-e-marāsim Thahrā
varna ye 'ishq bhī ehsās-e-ziyāñ honā thā
saath tum the to bahut aa.iiñ bahāreñ mujh par
aur bahāroñ ko bahar-hāl ḳhizāñ honā thā
jab un āñkhoñ ne dikhā.e the tamāshe mujh ko
phir tamāshoñ ko bhalā aur kahāñ honā thā
tajraba merā bhī kuchh aur baras baḌh jaatā
tumheñ kuchh aur baras ruk ke javāñ honā thā
ye jahāñ jaisā hai behtar hai magar jaane kyoñ
aisā lagtā hai ise aur jahāñ honā thā
meri baaton pe KHamoshi ka guman hona tha
kahan alfaz mujhe jin se bayan hona tha
jald-bazi ne ye tartib ulaT di warna
ab jo sahra hai use nahr-e-rawan hona tha
KHair achchha hua bas tark-e-marasim Thahra
warna ye 'ishq bhi ehsas-e-ziyan hona tha
sath tum the to bahut aain bahaaren mujh par
aur bahaaron ko bahar-haal KHizan hona tha
jab un aankhon ne dikhae the tamashe mujh ko
phir tamashon ko bhala aur kahan hona tha
tajraba mera bhi kuchh aur baras baDh jata
tumhein kuchh aur baras ruk ke jawan hona tha
ye jahan jaisa hai behtar hai magar jaane kyon
aisa lagta hai ise aur jahan hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.