meri bala se sari duniya ujDe ya aabaad rahe
merī balā se saarī duniyā ujḌe yā ābād rahe
terī ḳhushbū jis meñ basī hai vo kamra ābād rahe
āshiq aur māshūq kā rishta aur ziyāda puḳhta ho
tere zulm-o-jaur salāmat dil merā ābād rahe
mere ghar kī dīvāroñ par barbādī kā qabza hai
terī galī ko jaane vaalā har rasta ābād rahe
sub.h savere ḳhvāb meñ dekhā mujh se koī ye kahtā thā
ik tū hī barbād rahe aur jag saarā ābād rahe
ilm-o-hunar kā markaz hai aur shahr hai 'jaun'-o-'nāsir' kā
jab tak chāñd sitāre chamkeñ amroha ābād rahe
meri bala se sari duniya ujDe ya aabaad rahe
teri KHushbu jis mein basi hai wo kamra aabaad rahe
aashiq aur mashuq ka rishta aur ziyaada puKHta ho
tere zulm-o-jaur salamat dil mera aabaad rahe
mere ghar ki diwaron par barbaadi ka qabza hai
teri gali ko jaane wala har rasta aabaad rahe
subh sawere KHwab mein dekha mujh se koi ye kahta tha
ek tu hi barbaad rahe aur jag sara aabaad rahe
ilm-o-hunar ka markaz hai aur shahr hai 'jaun'-o-'nasir' ka
jab tak chand sitare chamken amroha aabaad rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.