meri barbaadi ka aalam dekh lo
merī barbādī kā aalam dekh lo
kar rahā huuñ apnā mātam dekh lo
sub.h se pahle charāġh-e-zīst kī
lau huī jaatī hai maddham dekh lo
hādsāt-e-zindagī ke faiz se
ho ga.e haiñ kyā se kyā ham dekh lo
jaan loge mere dil kī kaifiyat
aa.ine meñ zulf-e-barham dekh lo
soch lenā mahv-e-girya hai 'naresh'
jab kisī kī chashm-e-pur-nam dekh lo
meri barbaadi ka aalam dekh lo
kar raha hun apna matam dekh lo
subh se pahle charagh-e-zist ki
lau hui jati hai maddham dekh lo
hadsat-e-zindagi ke faiz se
ho gae hain kya se kya hum dekh lo
jaan loge mere dil ki kaifiyat
aaine mein zulf-e-barham dekh lo
soch lena mahw-e-girya hai 'naresh'
jab kisi ki chashm-e-pur-nam dekh lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.