meri bayaz-e-sher pe wo nam likh gaya
merī bayāz-e-sher pe vo naam likh gayā
ik ḳhvāb aur ek hasīñ shaam likh gayā
dil us ko DhūñDhtā hai usī kī talāsh hai
chupke se ik duā jo mire naam likh gayā
phir us se kab ho merī mulāqāt dekhiye
āġhāz hī meñ jo mirā anjām likh gayā
jaltī zamīñ pe maiñ hī khaḌā thā koī na thā
jhoñkā havā kā aayā to sau naam likh gayā
ḳhushbū thā vo ki ek na.ī rut nayā samāñ
chupke se mere naam jo ye shaam likh gayā
vo mujh se chhīn kar mirī bīnā.iyāñ tamām
patthar kā kaisā shahr mire naam likh gayā
ḳhud apnī aag hī meñ jalā huuñ magar 'ra.īs'
sab ke liye mahaktī huī shaam likh gayā
meri bayaz-e-sher pe wo nam likh gaya
ek KHwab aur ek hasin sham likh gaya
dil us ko DhunDhta hai usi ki talash hai
chupke se ek dua jo mere nam likh gaya
phir us se kab ho meri mulaqat dekhiye
aaghaz hi mein jo mera anjam likh gaya
jalti zamin pe main hi khaDa tha koi na tha
jhonka hawa ka aaya to sau nam likh gaya
KHushbu tha wo ki ek nai rut naya saman
chupke se mere nam jo ye sham likh gaya
wo mujh se chhin kar meri binaiyan tamam
patthar ka kaisa shahr mere nam likh gaya
KHud apni aag hi mein jala hun magar 'rais'
sab ke liye mahakti hui sham likh gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.