meri bezar tabiat rahe aasani mein
merī bezār tabī'at rahe āsānī meñ
is liye qaht-zada huuñ maiñ farāvānī meñ
aisī ġhaflat kī to ummīd nahīñ thī tujh se
bhar ga.e zaḳhm mire terī nigahbānī meñ
maiñ kuchh is vāste bhī uljhā huā rahtā huuñ
soch ke dā.ere khulte haiñ pareshānī meñ
ro na detā to maiñ nārāz hī rahtā us se
ḳhud ko paanī ke havāle kiyā tuġhyānī meñ
varna vo lahr guzar jaatī mire sāmne se
naav ko chhoḌ ke maiñ kuud gayā paanī meñ
rakh nahīñ paatā maiñ tanhā.ī ko phir us kī jagah
ab koī shaḳhs na aa.e mirī vīrānī meñ
meri bezar tabi'at rahe aasani mein
is liye qaht-zada hun main farawani mein
aisi ghaflat ki to ummid nahin thi tujh se
bhar gae zaKHm mere teri nigahbani mein
main kuchh is waste bhi uljha hua rahta hun
soch ke daere khulte hain pareshani mein
ro na deta to main naraaz hi rahta us se
KHud ko pani ke hawale kiya tughyani mein
warna wo lahr guzar jati mere samne se
naw ko chhoD ke main kud gaya pani mein
rakh nahin pata main tanhai ko phir us ki jagah
ab koi shaKHs na aae meri virani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.