meri chahat ki bahut lambi saza do mujhko
merī chāhat kī bahut lambī sazā do mujh ko
karb-e-tanhā.ī meñ jiine kī du'ā do mujh ko
fan tumhārā to kisī aur se mansūb huā
koī merī hī ġhazal aa ke sunā do mujh ko
haal behāl hai tārīk hai mustaqbil bhī
ban paḌe tum se to maazī mirā lā do mujh ko
āḳhirī sham' huuñ maiñ bazm-e-vafā kī logo
chāhe jalne do mujhe chāhe bujhā do mujh ko
ḳhud ko rakh ke maiñ kahīñ bhuul ga.ī huuñ shāyad
tum mirī zaat se ek baar milā do mujh ko
meri chahat ki bahut lambi saza do mujh ko
karb-e-tanhai mein jine ki du'a do mujh ko
fan tumhaara to kisi aur se mansub hua
koi meri hi ghazal aa ke suna do mujh ko
haal behaal hai tarik hai mustaqbil bhi
ban paDe tum se to mazi mera la do mujh ko
aaKHiri sham' hun main bazm-e-wafa ki logo
chahe jalne do mujhe chahe bujha do mujh ko
KHud ko rakh ke main kahin bhul gai hun shayad
tum meri zat se ek bar mila do mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.