meri chashm-e-nam mein rawan-dawan meri zindagi ka azab tha
meri chashm-e-nam mein rawan-dawan meri zindagi ka azab tha
Umood Abrar Ahmad
MORE BYUmood Abrar Ahmad
merī chashm-e-nam meñ ravāñ-davāñ mirī zindagī kā 'azāb thā
jise dekhte hī maiñ mar ga.ī vahī 'aks mahv-e-sarāb thā
mirī ‘umr-e-rafta kī ḳhair ho ki tire baġhair guzar ga.ī
jahāñ saañs lenā muhāl thā jahāñ ranj ḳhāna-ḳharāb thā
vahī surḳh lab vahī aa.ina vahī dasht dasht sī zindagī
mire chārāgar mire mehrbāñ yahī zindagī kā shabāb thā
mire ham-nashīñ mire ham-navā mire gird-o-pesh meñ kyā huā
nahīñ koī bhī mirā mubtalā tire naqsh-e-pā kā javāb thā
mire chār-sū thī udāsiyāñ mire gird-o-pesh meñ ranj the
jinheñ dekh dekh maiñ jī uThī koī ḳhūb-rū mirā ḳhvāb thā
yahāñ rang-o-bū meñ huā hai kyā koī dil-nashīñ nahīñ bach sakā
ka.ī ḳhvāb miTTī meñ mil ga.e mire paas jin kā hisāb thā
meri chashm-e-nam mein rawan-dawan meri zindagi ka 'azab tha
jise dekhte hi main mar gai wahi 'aks mahw-e-sarab tha
meri ‘umr-e-rafta ki KHair ho ki tere baghair guzar gai
jahan sans lena muhaal tha jahan ranj KHana-KHarab tha
wahi surKH lab wahi aaina wahi dasht dasht si zindagi
mere chaaragar mere mehrban yahi zindagi ka shabab tha
mere ham-nashin mere ham-nawa mere gird-o-pesh mein kya hua
nahin koi bhi mera mubtala tere naqsh-e-pa ka jawab tha
mere chaar-su thi udasiyan mere gird-o-pesh mein ranj the
jinhen dekh dekh main ji uThi koi KHub-ru mera KHwab tha
yahan rang-o-bu mein hua hai kya koi dil-nashin nahin bach saka
kai KHwab miTTi mein mil gae mere pas jin ka hisab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.