meri dahliz tak jo aa na saka
merī dahlīz tak jo aa na sakā
maiñ abhī tak use bhulā na sakā
zindagī ḳhaak meñ milā.ī ga.ī
āshiqī ḳhaak meñ milā na sakā
jo mujhe muflisī dikhātā rahā
maiñ use muflisī dikhā na sakā
ba.ad us ke maiñ muskurātā rahā
ba.ad us ke maiñ khilkhilā na sakā
tum mirī bebasī ko kyā jaano
maiñ use ḳhvāb tak dikhā na sakā
dukh to ye hai mujhe munīb ahmad
maiñ use shā.irī sunā na sakā
meri dahliz tak jo aa na saka
main abhi tak use bhula na saka
zindagi KHak mein milai gai
aashiqi KHak mein mila na saka
jo mujhe muflisi dikhata raha
main use muflisi dikha na saka
baad us ke main muskuraata raha
baad us ke main khilkhila na saka
tum meri bebasi ko kya jaano
main use KHwab tak dikha na saka
dukh to ye hai mujhe munib ahmad
main use shairi suna na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.