meri darKHwast takalluf ki nishani se hai
merī darḳhvāst takalluf kī nishānī se hai
yā'nī har baat tirī aañkh ke paanī se hai
tham na jaa.e tire bartāv se 'ājiz aa kar
dil ko taklīf tirī talḳh-zabānī se hai
is tarah jaan chalī jā.egī ye mumkin hai
'ishq bhī haa.e mujhe ek siyānī se hai
maar Dālegā lihāzā tū mohabbat apnī
yuuñ na.ī baat hai par rabt purānī se hai
ḳhush-mizājī se nahīñ aur na ḳhāmoshī se
aañkh meñ ḳhvāb to nīñdoñ kī ravānī se hai
'ishq se harj nahīñ hogā yaqīnan phir bhī
mujh ko ummīd tirī sāf-bayānī se hai
meri darKHwast takalluf ki nishani se hai
ya'ni har baat teri aankh ke pani se hai
tham na jae tere bartaw se 'ajiz aa kar
dil ko taklif teri talKH-zabani se hai
is tarah jaan chali jaegi ye mumkin hai
'ishq bhi hae mujhe ek siyani se hai
mar Dalega lihaza tu mohabbat apni
yun nai baat hai par rabt purani se hai
KHush-mizaji se nahin aur na KHamoshi se
aankh mein KHwab to nindon ki rawani se hai
'ishq se harj nahin hoga yaqinan phir bhi
mujh ko ummid teri saf-bayani se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.