meri dhaDkan ho zindagi ho tum
merī dhaḌkan ho zindagī ho tum
kis liye mujh se ajnabī ho tum
vaqt kī be-shumār ghaḌiyāñ haiñ
aur mire dil meñ har ghaḌī ho tum
jis ko dekhā hai ḳhvāb meñ aksar
mujh ko lagtā hai bas vahī ho tum
tum ba-zāhir to duur rahtī ho
aisā lagtā hai paas bhī ho tum
kis liye mujh se ruuTh jaatī ho
mere āñgan kī chāñdnī ho tum
vaqt badlā to tum bhī badle ho
par mire dil meñ aaj bhī ho tum
mujh ko taḌpāo yā ki pyaar karo
haal dil kā to jāntī ho tum
pahle mujh ko gañvā diyā tum ne
ab ḳhayāloñ meñ DhūñDhtī ho tum
ab akelā nahīñ 'ḳhalīl' ke saath
yaad terī kabhī kabhī ho tum
meri dhaDkan ho zindagi ho tum
kis liye mujh se ajnabi ho tum
waqt ki be-shumar ghaDiyan hain
aur mere dil mein har ghaDi ho tum
jis ko dekha hai KHwab mein aksar
mujh ko lagta hai bas wahi ho tum
tum ba-zahir to dur rahti ho
aisa lagta hai pas bhi ho tum
kis liye mujh se ruTh jati ho
mere aangan ki chandni ho tum
waqt badla to tum bhi badle ho
par mere dil mein aaj bhi ho tum
mujh ko taDpao ya ki pyar karo
haal dil ka to jaanti ho tum
pahle mujh ko ganwa diya tum ne
ab KHayalon mein DhunDhti ho tum
ab akela nahin 'KHalil' ke sath
yaad teri kabhi kabhi ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.