Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri dushman hai sadgi meri

Zafar Awan

meri dushman hai sadgi meri

Zafar Awan

MORE BYZafar Awan

    merī dushman hai sādgī merī

    khā ga.ī mujh ko ājizī merī

    hoñT khole to qaid bol ga.ī

    baat pahlī thī āḳhirī merī

    Dar gayā thā mire ujāle se

    chhīnī sūraj ne raushnī merī

    dhun sunī mor-chang jab se

    mujh se rūThī hai bāñsurī merī

    aap ko shauq shohratoñ hai

    merā sab kuchh hai shā.irī merī

    be-vajah tohmatoñ se behtar hai

    chhīn lo mujh se zindagī merī

    jānte ho mirā mizāj 'zafar'

    sah na pāoge dushmanī merī

    meri dushman hai sadgi meri

    kha gai mujh ko aajizi meri

    honT khole to qaid bol gai

    baat pahli thi aaKHiri meri

    Dar gaya tha mere ujale se

    chhini suraj ne raushni meri

    dhun suni mor-chang ki jab se

    mujh se ruThi hai bansuri meri

    aap ko shauq shohraton ka hai

    mera sab kuchh hai shairi meri

    be-wajah tohmaton se behtar hai

    chhin lo mujh se zindagi meri

    jaante ho mera mizaj 'zafar'

    sah na paoge dushmani meri

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now