meri fariyaad suno aao bacha lo mujhko
merī fariyād suno aao bachā lo mujh ko
apne andar hī phañsā huuñ maiñ nikālo mujh ko
haq-bayānī hai agar jurm to phir ai logoñ
qatl kar do mirā nezoñ pe uchhālo mujh ko
de rahā huuñ maiñ ye taklīf tumheñ āḳhirī baar
apne kāñdhoñ pe mire bachchoñ uThā lo mujh ko
sab ko hāsil nahīñ hotā huuñ maiñ āsānī se
mujh se milne kī hai ḳhvāhish to khañgālo mujh ko
merī tahzīb ye kahtī hai mujhe ro ro kar
maiñ huuñ girtī huī dīvār sambhālo mujh ko
meri fariyaad suno aao bacha lo mujh ko
apne andar hi phansa hun main nikalo mujh ko
haq-bayani hai agar jurm to phir ai logon
qatl kar do mera nezon pe uchhaalo mujh ko
de raha hun main ye taklif tumhein aaKHiri bar
apne kandhon pe mere bachchon uTha lo mujh ko
sab ko hasil nahin hota hun main aasani se
mujh se milne ki hai KHwahish to khangalo mujh ko
meri tahzib ye kahti hai mujhe ro ro kar
main hun girti hui diwar sambhaalo mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.