meri fikren hari-bhari karna
merī fikreñ harī-bharī karnā
is december ko january karnā
ham ko aatā hai bach ke ġhībat se
baat muñh pe kharī kharī karnā
mere ajdād-e-fan ko raas aaya
bādshāhoñ kī naukrī karnā
ham kitāboñ kī fasl bo.eñge
aap lafzoñ kī taskarī karnā
ik tasavvur sahī magar bachcho
ārzū-e-sikandarī karnā
jab mahakne lago guloñ kī tarah
phir hamārī barābarī karnā
āḳhirī maiñ huuñ aur mere baad
kis ko aaya payambarī karnā
meri fikren hari-bhari karna
is december ko january karna
hum ko aata hai bach ke ghibat se
baat munh pe khari khari karna
mere ajdad-e-fan ko ras aaya
baadshahon ki naukri karna
hum kitabon ki fasl boenge
aap lafzon ki taskari karna
ek tasawwur sahi magar bachcho
aarzu-e-sikandari karna
jab mahakne lago gulon ki tarah
phir hamari barabari karna
aaKHiri main hun aur mere baad
kis ko aaya payambari karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.