meri fikron mein racha dil ke qarin lagta hai
meri fikron mein racha dil ke qarin lagta hai
Sulaiman Athar Javed
MORE BYSulaiman Athar Javed
merī fikroñ meñ rachā dil ke qarīñ lagtā hai
vo to pahle se kahīñ aur hasīñ lagtā hai
garche ik bhiiḌ hai har samt har ik kūche meñ
mujh ko har shaḳhs magar gosha-nashīñ lagtā hai
apnā sarmāya yahī TūTte lamhoñ kī thakan
dil magar hai ki javāhar kā amiiñ lagtā hai
tum ne dekhā nahīñ hogā koī manzar aisā
har falak aaj hameñ zer-e-zamīñ lagtā hai
ek ham the ki chale aa.e sar-e-manzil-e-ishq
aur jo shaḳhs jahāñ thā vo vahīñ lagtā hai
us kī tahrīr nahīñ silk-e-guhar hai 'jāved'
us kā har qaul ki ḳhātam kā nagīñ lagtā hai
meri fikron mein racha dil ke qarin lagta hai
wo to pahle se kahin aur hasin lagta hai
garche ek bhiD hai har samt har ek kuche mein
mujh ko har shaKHs magar gosha-nashin lagta hai
apna sarmaya yahi TuTte lamhon ki thakan
dil magar hai ki jawahar ka amin lagta hai
tum ne dekha nahin hoga koi manzar aisa
har falak aaj hamein zer-e-zamin lagta hai
ek hum the ki chale aae sar-e-manzil-e-ishq
aur jo shaKHs jahan tha wo wahin lagta hai
us ki tahrir nahin silk-e-guhar hai 'jawed'
us ka har qaul ki KHatam ka nagin lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.