meri ghazlon ka har qafiya mustarad
merī ġhazloñ kā har qāfiya mustarad
aap hoñ sāmne aa.ina mustarad
jaan bach jaa.e to hādisa mustarad
sar paTaḳhtī havā kā nasha mustarad
shā.erī-vā.erī dekhtā kaun hai
husn jab tak na ho shā.era mustarad
tū mire saath ho aur duniyā bhī ho
is musallas kā ik zāviya mustarad
zindagī laakh qadmoñ meñ paḌtī rahī
kar diyā us kā har faisla mustarad
tujh pe merā yaqīñ is qadar be-aTal
zehn-o-dil kā har ik vasvasa mustarad
ham tire ġham kī talḳhī se haiñ āshnā
ab nayā koī bhī zā.iqa mustarad
rabb-e-akbar kā har faisla dil-kushā
jā nujūmī tirā zā.icha mustarad
meri ghazlon ka har qafiya mustarad
aap hon samne aaina mustarad
jaan bach jae to hadisa mustarad
sar paTaKHti hawa ka nasha mustarad
shaeri-waeri dekhta kaun hai
husn jab tak na ho shaera mustarad
tu mere sath ho aur duniya bhi ho
is musallas ka ek zawiya mustarad
zindagi lakh qadmon mein paDti rahi
kar diya us ka har faisla mustarad
tujh pe mera yaqin is qadar be-aTal
zehn-o-dil ka har ek waswasa mustarad
hum tere gham ki talKHi se hain aashna
ab naya koi bhi zaiqa mustarad
rabb-e-akbar ka har faisla dil-kusha
ja nujumi tera zaicha mustarad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.