meri har baat har suKHan mein hai
merī har baat har suḳhan meñ hai
'ishq mere rahan-sahan meñ hai
'mīr' hote gale lagā lete
aisā jaadū mire kahan meñ hai
sar se paañ tak khilī huī ho yuuñ
chāñd jaise khilā gagan meñ hai
ab sharāboñ meñ vaisī baat kahāñ
jo nasha haañ tire badan meñ hai
kyā ġhazab kī miThās lahje meñ
kyā adā chaal aur chalan meñ hai
man kī bāteñ na paḌh sakīñ tum to
kyā batā.eñ ki kyā ye man meñ hai
meri har baat har suKHan mein hai
'ishq mere rahan-sahan mein hai
'mir' hote gale laga lete
aisa jadu mere kahan mein hai
sar se pan tak khili hui ho yun
chand jaise khila gagan mein hai
ab sharabon mein waisi baat kahan
jo nasha han tere badan mein hai
kya ghazab ki miThas lahje mein
kya ada chaal aur chalan mein hai
man ki baaten na paDh sakin tum to
kya bataen ki kya ye man mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.