meri har baat ki nafi na karo
merī har baat kī nafī na karo
iḳhtiyār aisī be-ruḳhī na karo
silsile chhoḌ do raqābat ke
dostī kar ke dushmanī na karo
aa chuke haiñ añdhere raas hameñ
ab añdheroñ meñ raushnī na karo
zindagī ḳhud hī fikrmand sī hai
raat din fikr-e-zindagī na karo
tum musalsal rakho use dil meñ
yaad us ko kabhī kabhī na karo
us ke jaane ke ba.ad kar lenā
baat ham se magar abhī na karo
tum abhī apne aap ko 'sāgar'
us ke ilzām se barī na karo
meri har baat ki nafi na karo
iKHtiyar aisi be-ruKHi na karo
silsile chhoD do raqabat ke
dosti kar ke dushmani na karo
aa chuke hain andhere ras hamein
ab andheron mein raushni na karo
zindagi KHud hi fikrmand si hai
raat din fikr-e-zindagi na karo
tum musalsal rakho use dil mein
yaad us ko kabhi kabhi na karo
us ke jaane ke baad kar lena
baat hum se magar abhi na karo
tum abhi apne aap ko 'sagar'
us ke ilzam se bari na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.