meri har baat par wo KHafa sa lage
merī har baat par vo ḳhafā sā lage
sāf-goī kā us ko burā sā lage
saañs lete haiñ ham kaise māhaul meñ
jo bhī manzar hai vo karbalā sā lage
kis ne mausam ko sikhlā.ī aisī adā
kabhī ḳhush aur kabhī ye ḳhafā sā lage
jis kī nas nas meñ shāmil haiñ kaḌvāhaTeñ
vo hī dard kī kyuuñ davā sā lage
jab bhī miltā hai ḳhāmosh rahtā hai vo
us kī āñkhoñ meñ lekin gila sā lage
meri har baat par wo KHafa sa lage
saf-goi ka us ko bura sa lage
sans lete hain hum kaise mahaul mein
jo bhi manzar hai wo karbala sa lage
kis ne mausam ko sikhlai aisi ada
kabhi KHush aur kabhi ye KHafa sa lage
jis ki nas nas mein shamil hain kaDwahaTen
wo hi dard ki kyun dawa sa lage
jab bhi milta hai KHamosh rahta hai wo
us ki aankhon mein lekin gila sa lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.