meri har fikr har ek soch ka mehwar tu hai
merī har fikr har ik soch kā mehvar tū hai
bas gayā hai mirī āñkhoñ meñ jo manzar tū hai
ye jo raqsāñ hai rag-o-pai meñ lahū kī mānind
ye koī aur nahīñ mere sitamgar tū hai
maiñ kahāñ zaat meñ apnī huuñ magar hazz-e-qalīl
mujh meñ ai jān-e-tamannā mirī aksar tū hai
jism par ḳhaar libāsoñ se chhilā jaatā hai
aa mire dost mujhe maḳhmalīñ astar tū hai
chār-sū DhūñDhtī phirtī haiñ nigāheñ tujh ko
mujh ko āvāz de kis jā mire dilbar tū hai
chāhateñ terī kisī aur se mansūb raheñ
phir mujhe kyoñ hai gumāñ merā muqaddar tū hai
jaane vaale ko kahāñ rok sakā hai koī
itnā ranjīda bhalā kis liye 'anvar' tū hai
meri har fikr har ek soch ka mehwar tu hai
bas gaya hai meri aankhon mein jo manzar tu hai
ye jo raqsan hai rag-o-pai mein lahu ki manind
ye koi aur nahin mere sitamgar tu hai
main kahan zat mein apni hun magar hazz-e-qalil
mujh mein ai jaan-e-tamanna meri aksar tu hai
jism par KHar libason se chhila jata hai
aa mere dost mujhe maKHmalin astar tu hai
chaar-su DhunDhti phirti hain nigahen tujh ko
mujh ko aawaz de kis ja mere dilbar tu hai
chahaten teri kisi aur se mansub rahen
phir mujhe kyon hai guman mera muqaddar tu hai
jaane wale ko kahan rok saka hai koi
itna ranjida bhala kis liye 'anwar' tu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.