meri har soch mein poshida kahani uski
merī har soch meñ poshīda kahānī us kī
sach batā.ūñ to huuñ ḳhud maiñ bhī nishānī us kī
us ko isrār ki nazdīk na aa.uuñ us ke
mujh pe kuchh aisā fusūñ ek na maanī us kī
mujh se miltā hai to yuuñ jaise na ho muñh meñ zabāñ
aur mahfil meñ koī dekhe ravānī us kī
ghar tirā laakh purānā sahī lekin 'anjum'
dekh tasvīr na ho jaa.e purānī us kī
meri har soch mein poshida kahani us ki
sach bataun to hun KHud main bhi nishani us ki
us ko israr ki nazdik na aaun us ke
mujh pe kuchh aisa fusun ek na mani us ki
mujh se milta hai to yun jaise na ho munh mein zaban
aur mahfil mein koi dekhe rawani us ki
ghar tera lakh purana sahi lekin 'anjum'
dekh taswir na ho jae purani us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.