meri hasti haDDi khaal miTTi Dal
merī hastī haDDī khaal miTTī Daal
is meñ merā kaun kamāl miTTī Daal
biij milegā miTTī meñ to degā phal
chal re o dhartī ke la.al miTī Daal
merī basīrat kī rangīnī aur baḌhā
kar de merī āñkheñ laal miTTī Daal
avval to kuchh kahā sunī mat hone de
ho jaa.e to hañs kar Taal miTTī Daal
ḳhud ko gar paanā hai to nir-mohī ban
sone ke ambār nikāl miTTī Daal
izzat shohrat kī vo saarī bāteñ chhoḌ
ḳhatm huā saarā janjāl miTTī Daal
ishq meñ pāgalpan se gutthī suljhegī
ilm-o-hikmat par filhāl miTTī Daal
ḳhud ko sar par laade laade phirtā thā
'vāsif' tū bhī hai hammāl miTTī Daal
meri hasti haDDi khaal miTTi Dal
is mein mera kaun kamal miTTi Dal
bij milega miTTi mein to dega phal
chal re o dharti ke lal miTi Dal
meri basirat ki rangini aur baDha
kar de meri aankhen lal miTTi Dal
awwal to kuchh kaha suni mat hone de
ho jae to hans kar Tal miTTi Dal
KHud ko gar pana hai to nir-mohi ban
sone ke ambar nikal miTTi Dal
izzat shohrat ki wo sari baaten chhoD
KHatm hua sara janjal miTTi Dal
ishq mein pagalpan se gutthi suljhegi
ilm-o-hikmat par filhaal miTTi Dal
KHud ko sar par lade lade phirta tha
'wasif' tu bhi hai hammal miTTi Dal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.