meri inayaton ke talabgar aa gae
merī ināyatoñ ke talabgār aa ga.e
rahmat pukār uTThī gunahgār aa ga.e
ik lamha-e-sukūn milā muddatoñ ke baad
us ko bhī chhīnñe mire ġham-ḳhvār aa ga.e
ham nā-sipās log kahāñ jā ke ab raheñ
bastī meñ saare shahr ke hushiyār aa ga.e
ik shaḳhs kar rahā thā ġham-e-ishq kā ilaaj
hairat se dekhne use bīmār aa ga.e
be-manzarī shikasta-dilī khokhlī hañsī
ye shahr-e-ārzū hai to be-kār aa ga.e
do-chār hī qadam to chale chain se 'shamīm'
phir us ke baad rāste dushvār aa ga.e
meri inayaton ke talabgar aa gae
rahmat pukar uTThi gunahgar aa gae
ek lamha-e-sukun mila muddaton ke baad
us ko bhi chhinne mere gham-KHwar aa gae
hum na-sipas log kahan ja ke ab rahen
basti mein sare shahr ke hushiyar aa gae
ek shaKHs kar raha tha gham-e-ishq ka ilaj
hairat se dekhne use bimar aa gae
be-manzari shikasta-dili khokhli hansi
ye shahr-e-arzu hai to be-kar aa gae
do-chaar hi qadam to chale chain se 'shamim'
phir us ke baad raste dushwar aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.