meri is dhaDkan ki sargam yani tum
merī is dhaḌkan kī sargam ya.anī tum
mere in zaḳhmoñ kā marham ya.anī tum
miTTī daldal kaale bādal ya.anī maiñ
jhīl-o-jharne achchhā mausam ya.anī tum
logoñ kā ġham huuñ maiñ merā ġham ye dil
haañ lekin mere dil kā ġham ya.anī tum
ik ḳhāmosh khaḌī dulhan hai ye duniyā
dulhan kī paa.el kī chham-chham ya.anī tum
tum ko sochā to aisī tasvīr banī
hañstā chehra aur āñkheñ nam ya.anī tum
meri is dhaDkan ki sargam yani tum
mere in zaKHmon ka marham yani tum
miTTi daldal kale baadal yani main
jhil-o-jharne achchha mausam yani tum
logon ka gham hun main mera gham ye dil
han lekin mere dil ka gham yani tum
ek KHamosh khaDi dulhan hai ye duniya
dulhan ki pael ki chham-chham yani tum
tum ko socha to aisi taswir bani
hansta chehra aur aankhen nam yani tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.