meri is diwangi ki apni ek raftar hai
merī is dīvāngī kī apnī ik raftār hai
ishq meñ har aadmī kī apnī ik raftār hai
koī āshiq koī mai-kash koī koī muflis hai yahāñ
har kisī kī ḳhud-kushī kī apnī ik raftār hai
aap aage ham haiñ pīchhe par nahīñ ham ko gila
har kisī kī zindagī kī apnī ik raftār hai
kaun DhūñDhe dost phir se kaun phir se khaa.e zaḳhm
har kisī kī dostī kī apnī ik raftār hai
tez qadmoñ se baḌhe jaate haiñ ham sū-e-sarāb
is musalsal tishnagī kī apnī ik raftār hai
meri is diwangi ki apni ek raftar hai
ishq mein har aadmi ki apni ek raftar hai
koi aashiq koi mai-kash koi koi muflis hai yahan
har kisi ki KHud-kushi ki apni ek raftar hai
aap aage hum hain pichhe par nahin hum ko gila
har kisi ki zindagi ki apni ek raftar hai
kaun DhunDhe dost phir se kaun phir se khae zaKHm
har kisi ki dosti ki apni ek raftar hai
tez qadmon se baDhe jate hain hum su-e-sarab
is musalsal tishnagi ki apni ek raftar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.