meri jaanib multafit sara jahan ho jaega
merī jānib multafit saarā jahāñ ho jā.egā
dil agar mehr-o-mohabbat kā makāñ ho jā.egā
sauñp do talvār pahle tum zarā mazlūm ko
dekhnā phir shahr meñ amn-o-amāñ ho jā.egā
imtiyāz-e-rang-o-bū kā ḳhātma jis din huā
phir yahī hindostāñ rashk-e-jināñ ho jā.egā
kyā zarūrī hai kareñ har shaḳhs se iz.hār-e-ġham
ḳhāmushī se mudda.ā ḳhud hī bayāñ ho jā.egā
dostoñ se tum na karnā inkishāf-e-rāz-e-dil
āshkārā varna phir rāz-e-nihāñ ho jā.egā
ho agar un ko pata 'mushtāq' hai mushtāq-e-dīd
āsmāñ ik aur zer-e-āsmāñ ho jā.egā
meri jaanib multafit sara jahan ho jaega
dil agar mehr-o-mohabbat ka makan ho jaega
saunp do talwar pahle tum zara mazlum ko
dekhna phir shahr mein amn-o-aman ho jaega
imtiyaz-e-rang-o-bu ka KHatma jis din hua
phir yahi hindostan rashk-e-jinan ho jaega
kya zaruri hai karen har shaKHs se izhaar-e-gham
KHamushi se muddaa KHud hi bayan ho jaega
doston se tum na karna inkishaf-e-raaz-e-dil
aashkara warna phir raaz-e-nihan ho jaega
ho agar un ko pata 'mushtaq' hai mushtaq-e-did
aasman ek aur zer-e-asman ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.