meri jaanib teri nazar na hui
merī jānib tirī nazar na huī
kyoñ harīf-e-dil-o-jigar na huī
fāsloñ ke dahakte sahrā meñ
qurb kī chhāñv mo'atabar na huī
kitnī rātoñ kā zahr pī kar bhī
pyaas āsūda-e-sahar na huī
yuuñ dabe paañv zindagī guzrī
hādsoñ ko bhī kuchh ḳhabar na huī
sham.a-bardār-e-vaqt the phir bhī
ham se taz.īn-e-bām-o-dar na huī
terī parvāz-e-fikr ai 'nāzim'
kabhī mohtāj-e-bāl-o-par na huī
meri jaanib teri nazar na hui
kyon harif-e-dil-o-jigar na hui
faslon ke dahakte sahra mein
qurb ki chhanw mo'atabar na hui
kitni raaton ka zahr pi kar bhi
pyas aasuda-e-sahar na hui
yun dabe panw zindagi guzri
hadson ko bhi kuchh KHabar na hui
shama-bardar-e-waqt the phir bhi
hum se tazin-e-baam-o-dar na hui
teri parwaz-e-fikr ai 'nazim'
kabhi mohtaj-e-baal-o-par na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.