meri jab us se aashnai thi
merī jab us se āshnā.ī thī
mere hamrāh ik ḳhudā.ī thī
gardish-e-vaqt us kī shāhid hai
āsmāñ tak mirī rasā.ī thī
yaad kar merā saath dene kī
tū ne merī qasam uThā.ī thī
kaisā lamha thā jab ġhazal merī
zer-e-lab tū ne gungunā.ī thī
sach to ye hai 'sabīn' ghar meñ mire
aag apnoñ ne hī lagā.ī thī
meri jab us se aashnai thi
mere hamrah ek KHudai thi
gardish-e-waqt us ki shahid hai
aasman tak meri rasai thi
yaad kar mera sath dene ki
tu ne meri qasam uThai thi
kaisa lamha tha jab ghazal meri
zer-e-lab tu ne gungunai thi
sach to ye hai 'sabin' ghar mein mere
aag apnon ne hi lagai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.