meri jaisi uski haalat kab hogi
merī jaisī us kī hālat kab hogī
us ko jaane mujh se mohabbat kab hogī
us ke liye maiñ ḳhud se laḌtā rahtā huuñ
us ke dil ko us se adāvat kab hogī
sab se hañs ke miltī hai vo jab dekho
vo merī hī sirf amānat kab hogī
us ke naam se kitnā maiñ badnām huā
vo rusvā ab merī badaulat kab hogī
maiñ us kī chāhat meñ kitnā TuuTā huuñ
ab us ko bhī merī hasrat kab hogī
mujh ko nazar-andāz vo kartī rahtī hai
us kī jaisī merī aadat kab hogī
hāl-e-dil ash.ār meñ us ko kahnā hai
dil mahfil meñ us kī sadārat kab hogī
mujh ko us se ḳhuub shikāyat hai lekin
us ko jaane mujh se shikāyat kab hogī
us kā naam maiñ letā rahtā huuñ har dam
mere naam kī us se tilāvat kab hogī
vo ġhāfil hai mujh se sang-dil yā-allāh
terī taraf se us ko hidāyat kab hogī
kab mujh se insāf karegā yā-maulā
mere haq meñ terī adālat kab hogī
roz-e-mahshar us ko dil kī kahnī hai
ye batlā.eñ aap qayāmat kab hogī
us kī hukūmat mere dil pe hai to phir
mere dil se mujh ko baġhāvat kab hogī
dam ghuTtā hai us kī qaid meñ rahne se
ye batlā 'irshād' zamānat kab hogī
meri jaisi us ki haalat kab hogi
us ko jaane mujh se mohabbat kab hogi
us ke liye main KHud se laDta rahta hun
us ke dil ko us se adawat kab hogi
sab se hans ke milti hai wo jab dekho
wo meri hi sirf amanat kab hogi
us ke nam se kitna main badnam hua
wo ruswa ab meri badaulat kab hogi
main us ki chahat mein kitna TuTa hun
ab us ko bhi meri hasrat kab hogi
mujh ko nazar-andaz wo karti rahti hai
us ki jaisi meri aadat kab hogi
haal-e-dil ashaar mein us ko kahna hai
dil mahfil mein us ki sadarat kab hogi
mujh ko us se KHub shikayat hai lekin
us ko jaane mujh se shikayat kab hogi
us ka nam main leta rahta hun har dam
mere nam ki us se tilawat kab hogi
wo ghafil hai mujh se sang-dil ya-allah
teri taraf se us ko hidayat kab hogi
kab mujh se insaf karega ya-maula
mere haq mein teri adalat kab hogi
roz-e-mahshar us ko dil ki kahni hai
ye batlaen aap qayamat kab hogi
us ki hukumat mere dil pe hai to phir
mere dil se mujh ko baghawat kab hogi
dam ghuTta hai us ki qaid mein rahne se
ye batla 'irshad' zamanat kab hogi
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 261)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.