meri kashti ko kinare pe lagate bhi nahin
merī kashtī ko kināre pe lagāte bhī nahīñ
apnā kahte hai magar rishta nibhāte bhī nahīñ
ik zamāne se mujhe un se shikāyat hai yahī
yaad karte bhī nahīñ mujh ko bhulāte bhī nahīñ
zaḳhm phir tum ne kiye taaza vagarna ham to
dard tā-umr tumheñ apnā batāte bhī nahīñ
jānte haiñ ki tumheñ farq na paḌnā koī
apnī palkoñ pe so ham ashk sajāte bhī nahīñ
kuchh na badlā hai na ummīd badalne kī kuchh
jānte haiñ tabhī to shor machāte bhī nahīñ
is zamāne kī yahī ek haqīqat hai 'jyotī'
log rasman hī sahī dil se nibhāte bhī nahīñ
meri kashti ko kinare pe lagate bhi nahin
apna kahte hai magar rishta nibhate bhi nahin
ek zamane se mujhe un se shikayat hai yahi
yaad karte bhi nahin mujh ko bhulate bhi nahin
zaKHm phir tum ne kiye taza wagarna hum to
dard ta-umr tumhein apna batate bhi nahin
jaante hain ki tumhein farq na paDna koi
apni palkon pe so hum ashk sajate bhi nahin
kuchh na badla hai na ummid badalne ki kuchh
jaante hain tabhi to shor machate bhi nahin
is zamane ki yahi ek haqiqat hai 'jyoti'
log rasman hi sahi dil se nibhate bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.