meri KHamosh mohabbat ki ye qimat di hai
merī ḳhāmosh mohabbat kī ye qīmat dī hai
us ne Thukrā ke mujhe dard kī daulat dī hai
aap ko bhuul sakūñ dil ko kahīñ bahlā.ūñ
aap kī yaad ne kab mujh ko ye mohlat dī hai
paas baiThūñ tere aur tujh ko hī dekhe jā.ūñ
merī āñkhoñ ko kahāñ itnī ijāzat dī hai
dardmandī se mohabbat se milūñ maiñ sab se
mere ajdād ne virse meñ ye fitrat dī hai
kaam auroñ ke maiñ aatī rahūñ marte dam tak
mere ḳhāliq ne mujhe jitnī bhī tāqat dī hai
kitnī dilkash hai hasīñ hai ye dhanak-rañg fazā
mausam-e-gul ko musavvir ne kyā rañgat dī hai
merī zulfoñ ko sañvāre merā āñchal jhūle
ai havā kis ne tujhe aaj ye jur.at dī hai
kyoñ mere saath hī royā hai merā ā.īna
nauhagar tū ne use kaun sī sūrat dī hai
terī duniyā meñ hai majrūh merī sāda-dilī
kyā isī vāste ye saada tabī.at dī hai
zaḳhm-e-dil bhar ga.e kuchh aur ināyat kar deñ
itnī sī baat hai sāhab jo yuuñ zahmat dī hai
mujh ko is dahr ke dozaḳh meñ jalāyā hai sadā
kahne ko qadmoñ ke nīche mere jannat dī hai
us ne mujh ko faqat ġham hī nahīñ baḳhshe haiñ
mere lahje ko junūñ soch ko vahshat dī hai
sab se miltā hai to hañs hañs ke sitam Dhātā hai
mere jazboñ ko kahāñ tū ne ye qurbat dī hai
tujh ko allāh bachā.e sadā nazar-e-bad se
tujh ko 'shahnāz' ḳhudā ne hasīñ sūrat dī hai
meri KHamosh mohabbat ki ye qimat di hai
us ne Thukra ke mujhe dard ki daulat di hai
aap ko bhul sakun dil ko kahin bahlaun
aap ki yaad ne kab mujh ko ye mohlat di hai
pas baiThun tere aur tujh ko hi dekhe jaun
meri aankhon ko kahan itni ijazat di hai
dardmandi se mohabbat se milun main sab se
mere ajdad ne wirse mein ye fitrat di hai
kaam auron ke main aati rahun marte dam tak
mere KHaliq ne mujhe jitni bhi taqat di hai
kitni dilkash hai hasin hai ye dhanak-rang faza
mausam-e-gul ko musawwir ne kya rangat di hai
meri zulfon ko sanware mera aanchal jhule
ai hawa kis ne tujhe aaj ye jurat di hai
kyon mere sath hi roya hai mera aaina
nauhagar tu ne use kaun si surat di hai
teri duniya mein hai majruh meri sada-dili
kya isi waste ye sada tabiat di hai
zaKHm-e-dil bhar gae kuchh aur inayat kar den
itni si baat hai sahab jo yun zahmat di hai
mujh ko is dahr ke dozaKH mein jalaya hai sada
kahne ko qadmon ke niche mere jannat di hai
us ne mujh ko faqat gham hi nahin baKHshe hain
mere lahje ko junun soch ko wahshat di hai
sab se milta hai to hans hans ke sitam Dhata hai
mere jazbon ko kahan tu ne ye qurbat di hai
tujh ko allah bachae sada nazar-e-bad se
tujh ko 'shahnaz' KHuda ne hasin surat di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.