meri KHamoshi hi kaam aai kaha jata hai
meri KHamoshi hi kaam aai kaha jata hai
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
merī ḳhāmoshī hī kaam aa.ī kahā jaatā hai
is ko andāz-e-shakebā.ī kahā jaatā hai
bhiiḌ meñ ek badan aap se mānūs na ho
bas yahī vāqi.a tanhā.ī kahā jaatā hai
terī jānib se jo hote haiñ ishāre un ko
ishq meñ hausla-afzā.ī kahā jaatā hai
merī vahshat ne añdhere meñ use DhūñDh liyā
ab usī taab ko bīnā.ī kahā jaatā hai
tere aariz ko jo aatī haiñ havā.eñ chhū kar
un ko is des meñ purvā.ī kahā jaatā hai
kah diyā thā mire jis lahje ko duniyā ne fuzūl
ab vahī sher kī gahrā.ī kahā jaatā hai
lafz-ārā.ī kā to mujh meñ hunar hai lekin
mujh ko aatī nahīñ goyā.ī kahā jaatā hai
meri KHamoshi hi kaam aai kaha jata hai
is ko andaz-e-shakebai kaha jata hai
bhiD mein ek badan aap se manus na ho
bas yahi waqia tanhai kaha jata hai
teri jaanib se jo hote hain ishaare un ko
ishq mein hausla-afzai kaha jata hai
meri wahshat ne andhere mein use DhunDh liya
ab usi tab ko binai kaha jata hai
tere aariz ko jo aati hain hawaen chhu kar
un ko is des mein purwai kaha jata hai
kah diya tha mere jis lahje ko duniya ne fuzul
ab wahi sher ki gahrai kaha jata hai
lafz-arai ka to mujh mein hunar hai lekin
mujh ko aati nahin goyai kaha jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.