meri KHabar hai dil ko na dil ki KHabar mujhe
merī ḳhabar hai dil ko na dil kī ḳhabar mujhe
dīvāna kar ga.ī hai kisī kī nazar mujhe
kaise qarār aa.e mire dil ko ham-nashīñ
phirtī hai terī yaad liye dar-ba-dar mujhe
manzil ke paas aa ke hue donoñ do taraf
maiñ ham-safar ko bhuul gayā ham-safar mujhe
biite dinoñ ke zaḳhmoñ kā kartā maiñ ehtisāb
mohlat jo detī gardish-e-shām-o-sahar mujhe
hotī hai ek raat charāġhoñ kī zindagī
ye daras de rahā hai charāġh-e-sahar mujhe
chāhe koī to pyaar se kar le mujhe asiir
nafrat se zer kar na sakegā magar mujhe
'mā'sūm' mere haq meñ vo anmol haiñ ratan
qudrat ne jo 'atā kiye lā'l-o-guhar mujhe
meri KHabar hai dil ko na dil ki KHabar mujhe
diwana kar gai hai kisi ki nazar mujhe
kaise qarar aae mere dil ko ham-nashin
phirti hai teri yaad liye dar-ba-dar mujhe
manzil ke pas aa ke hue donon do taraf
main ham-safar ko bhul gaya ham-safar mujhe
bite dinon ke zaKHmon ka karta main ehtisab
mohlat jo deti gardish-e-sham-o-sahar mujhe
hoti hai ek raat charaghon ki zindagi
ye daras de raha hai charagh-e-sahar mujhe
chahe koi to pyar se kar le mujhe asir
nafrat se zer kar na sakega magar mujhe
'ma'sum' mere haq mein wo anmol hain ratan
qudrat ne jo 'ata kiye la'l-o-guhar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.