meri KHwahish ka bistar sulagta raha
merī ḳhvāhish kā bistar sulagtā rahā
hijr meñ vaqt aksar sulagtā rahā
phuul maqtūl ke haath meñ dekh kar
dast-e-qātil pe ḳhanjar sulagtā rahā
mehrbāñ the tamāshā.iyoñ kī tarah
mere ḳhvāboñ kā daftar sulagtā rahā
tez kirnoñ kī zad meñ thā har ek sher
yuuñ taḳhayyul kā ḳhāvar sulagtā rahā
mai-kadā thā baġhair un ke vīrān sā
yaad meñ un kī sāġhar sulagtā rahā
duur hotī ga.ī us se 'ainī' hayā
jism se us ke zevar sulagtā rahā
meri KHwahish ka bistar sulagta raha
hijr mein waqt aksar sulagta raha
phul maqtul ke hath mein dekh kar
dast-e-qatil pe KHanjar sulagta raha
mehrban the tamashaiyon ki tarah
mere KHwabon ka daftar sulagta raha
tez kirnon ki zad mein tha har ek sher
yun taKHayyul ka KHawar sulagta raha
mai-kada tha baghair un ke viran sa
yaad mein un ki saghar sulagta raha
dur hoti gai us se 'aini' haya
jism se us ke zewar sulagta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.