meri KHwahish ne mujhko luTa hai
merī ḳhvāhish ne mujh ko luuTā hai
ḳhvāb dekhā jo maiñ ne jhūTā hai
yūñhī tum se ḳhafā nahīñ haiñ ham
dil nahīñ e.atibār TuuTā hai
kuchh nahīñ tujh se pyaar hai shāyad
terā ehsās dil ko chhūtā hai
kyoñ bichhaḌ kar bichhaḌ nahīñ paa.e
saath kab se hamārā chhūTā hai
ham muqaddar to likh nahīñ sakte
jo bhī apnā hai vo hī rūThā hai
meri KHwahish ne mujh ko luTa hai
KHwab dekha jo main ne jhuTa hai
yunhi tum se KHafa nahin hain hum
dil nahin eatibar TuTa hai
kuchh nahin tujh se pyar hai shayad
tera ehsas dil ko chhuta hai
kyon bichhaD kar bichhaD nahin pae
sath kab se hamara chhuTa hai
hum muqaddar to likh nahin sakte
jo bhi apna hai wo hi ruTha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.