meri koshish hai aaina bhi rahun
merī koshish hai aa.ina bhī rahūñ
aur Takrā ke TūTtā bhī rahūñ
ik qafas meñ ḳhayāl-o-bū kī tarah
qaid bhī maiñ rahūñ rihā bhī rahūñ
ḳhud se kah luuñ maiñ dāstāñ apnī
dard meñ kuchh to ḳhush-navā bhī rahūñ
ho na jā.ūñ maiñ be-hisī kā shikār
tujh se miltā rahūñ judā bhī rahūñ
roz kī kashmakash ke sho.aloñ meñ
aag bhī maiñ rahūñ havā bhī rahūñ
shab ko 'bebāk' kah rahā huuñ ġhazal
taaki maiñ sub.h-āshnā bhī rahūñ
meri koshish hai aaina bhi rahun
aur Takra ke TuTta bhi rahun
ek qafas mein KHayal-o-bu ki tarah
qaid bhi main rahun riha bhi rahun
KHud se kah lun main dastan apni
dard mein kuchh to KHush-nawa bhi rahun
ho na jaun main be-hisi ka shikar
tujh se milta rahun juda bhi rahun
roz ki kashmakash ke shoalon mein
aag bhi main rahun hawa bhi rahun
shab ko 'bebak' kah raha hun ghazal
taki main subh-ashna bhi rahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.