meri koshish ka samar hai muKHtalif
merī koshish kā samar hai muḳhtalif
pyaar kā us par asar hai muḳhtalif
saarī duniyā meñ nahīñ us kī misāl
sab se vo rashk-e-qamar hai muḳhtalif
dil mirā taskīn paatā hai yahāñ
mere ghar se terā ghar hai muḳhtalif
us ko bhātī haiñ ḳhatā.eñ bhī mirī
maañ kā andāz-e-nazar hai muḳhtalif
mujh se aksar muttafiq hotā to hai
kyā huā mujh se agar hai muḳhtalif
ho ga.ī dushvār rāh-e-zindagī
mujh se merā ham-safar hai muḳhtalif
mutma.in hai ranj-o-ġham meñ bhī zamāñ
dar-haqīqat vo bashar hai muḳhtalif
meri koshish ka samar hai muKHtalif
pyar ka us par asar hai muKHtalif
sari duniya mein nahin us ki misal
sab se wo rashk-e-qamar hai muKHtalif
dil mera taskin pata hai yahan
mere ghar se tera ghar hai muKHtalif
us ko bhati hain KHataen bhi meri
man ka andaz-e-nazar hai muKHtalif
mujh se aksar muttafiq hota to hai
kya hua mujh se agar hai muKHtalif
ho gai dushwar rah-e-zindagi
mujh se mera ham-safar hai muKHtalif
mutmain hai ranj-o-gham mein bhi zaman
dar-haqiqat wo bashar hai muKHtalif
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.