meri mahfil tha meri KHalwat-e-jaan tha kya tha
merī mahfil thā mirī ḳhalvat-e-jāñ thā kyā thā
vo ajab shaḳhs thā ik rāz-e-nihāñ thā kyā thā
baal khole hue phirtī thiiñ hasīnā.eñ kuchh
vasl thā yā ki judā.ī kā samāñ thā kyā thā
haa.e us shoḳh ke khul paa.e na asrār kabhī
jaane vo shaḳhs yaqīñ thā ki gumāñ thā kyā thā
tum jise markazī kirdār samajh baiThe ho
vo fasāne meñ agar thā to kahāñ thā kyā thā
kyuuñ 'vasī'-shāh pe parī-zādiyāñ jaañ detī haiñ
māh-e-kan.ān thā shā.ir thā javāñ thā kyā thā
meri mahfil tha meri KHalwat-e-jaan tha kya tha
wo ajab shaKHs tha ek raaz-e-nihan tha kya tha
baal khole hue phirti thin hasinaen kuchh
wasl tha ya ki judai ka saman tha kya tha
hae us shoKH ke khul pae na asrar kabhi
jaane wo shaKHs yaqin tha ki guman tha kya tha
tum jise markazi kirdar samajh baiThe ho
wo fasane mein agar tha to kahan tha kya tha
kyun 'wasi'-shah pe pari-zadiyan jaan deti hain
mah-e-kanan tha shair tha jawan tha kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.