meri manzil bhi aasman mein hai
merī manzil bhī āsmān meñ hai
aur dam bhī mirī uḌaan meñ hai
koī letā nahīñ kirā.e par
jaise aaseb is makān meñ hai
koī jaltā nahīñ charāġh vahāñ
raushnī phir bhī us makān meñ hai
aag duniyā ko ye lagā degā
jo ta.assub tire bayān meñ hai
kar liyā raam sab ko ik pal meñ
sehr 'sāhir' tirī zabān meñ hai
meri manzil bhi aasman mein hai
aur dam bhi meri uDan mein hai
koi leta nahin kirae par
jaise aaseb is makan mein hai
koi jalta nahin charagh wahan
raushni phir bhi us makan mein hai
aag duniya ko ye laga dega
jo tassub tere bayan mein hai
kar liya ram sab ko ek pal mein
sehr 'sahir' teri zaban mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.