meri mushkil ko jo aasan nahin hone deta
merī mushkil ko jo āsāñ nahīñ hone detā
vo mire dard kā darmāñ nahīñ hone detā
tū ne ummīd lagā.ī bhī to kis kāfir se
jo kabhī sāhab-e-īmāñ nahīñ hone detā
maiñ ne to umr luTā dī hai magar vo apnā
ek lamhe kā bhī nuqsāñ nahīñ hone detā
nit na.e dard to ījād kiye rakhtā hai
aur ḳhud ko vo pashemāñ nahīñ hone detā
yās-o-hirmāñ ke fasāne to sunātā hai magar
ranj se chaak garebāñ nahīñ hone detā
aas vo ḳhvāb dilātā hai rifāqat kī magar
'kaif' aisā koī imkāñ nahīñ hone detā
meri mushkil ko jo aasan nahin hone deta
wo mere dard ka darman nahin hone deta
tu ne ummid lagai bhi to kis kafir se
jo kabhi sahab-e-iman nahin hone deta
main ne to umr luTa di hai magar wo apna
ek lamhe ka bhi nuqsan nahin hone deta
nit nae dard to ijad kiye rakhta hai
aur KHud ko wo pasheman nahin hone deta
yas-o-hirman ke fasane to sunata hai magar
ranj se chaak gareban nahin hone deta
aas wo KHwab dilata hai rifaqat ki magar
'kaif' aisa koi imkan nahin hone deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.