meri nafrat bhi hai sheron mein mere pyar ke sath
merī nafrat bhī hai sheroñ meñ mire pyaar ke saath
maiñ ne likkhī hai ġhazal jur.at-e-iz.hār ke saath
eqtidār ek taraf ek taraf darveshī
donoñ chīzeñ nahīñ rah saktī haiñ fankār ke saath
ik ḳhalā dil meñ bahut din se makīñ hai ab to
yaad guzrā huā mausam bhī nahīñ yaar ke saath
bādbānoñ se ulajhtī hai havā roz magar
kashtiyāñ soī haiñ kis shaan se patvār ke saath
shahr meñ jahl kī arzānī hai lekin ab tak
maiñ hī samjhauta nahīñ kartā huuñ me.aar ke saath
mere ash.ār haiñ nāqid ke liye kuchh bhī nahīñ
dard ko maiñ nahīñ likhtā kabhī dushvār ke saath
meri nafrat bhi hai sheron mein mere pyar ke sath
main ne likkhi hai ghazal jurat-e-izhaar ke sath
eqtidar ek taraf ek taraf darweshi
donon chizen nahin rah sakti hain fankar ke sath
ek KHala dil mein bahut din se makin hai ab to
yaad guzra hua mausam bhi nahin yar ke sath
baadbanon se ulajhti hai hawa roz magar
kashtiyan soi hain kis shan se patwar ke sath
shahr mein jahl ki arzani hai lekin ab tak
main hi samjhauta nahin karta hun mear ke sath
mere ashaar hain naqid ke liye kuchh bhi nahin
dard ko main nahin likhta kabhi dushwar ke sath
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 354)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.