meri nazron ka intiKHab ho tum
merī nazroñ kā intiḳhāb ho tum
'ishq kī āḳhirī kitāb ho tum
tum ko dekhūñ to aisā lagtā hai
jaise khiltā huā gulāb ho tum
jis ko paḌh kar ghuTan nahīñ hotī
yaar vo dil-nashīñ nisāb ho tum
dil meñ jitne savāl uTThe the
un savālāt ke javāb ho tum
dekh kar chāñd tum ko sharmā.e
husn se itnā faizyāb ho tum
kyā hī kahnā hai us kī qismat kā
jis kisī ko bhī dastyāb ho tum
jo bhī miltā hai mujh se ai 'ashraf'
bas ye kahtā hai kāmyāb ho tam
meri nazron ka intiKHab ho tum
'ishq ki aaKHiri kitab ho tum
tum ko dekhun to aisa lagta hai
jaise khilta hua gulab ho tum
jis ko paDh kar ghuTan nahin hoti
yar wo dil-nashin nisab ho tum
dil mein jitne sawal uTThe the
un sawalat ke jawab ho tum
dekh kar chand tum ko sharmae
husn se itna faizyab ho tum
kya hi kahna hai us ki qismat ka
jis kisi ko bhi dastyab ho tum
jo bhi milta hai mujh se ai 'ashraf'
bas ye kahta hai kaamyab ho tam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.