meri pahchan hai kya mera pata de mujhko
merī pahchān hai kyā merā pata de mujh ko
koī ā.īna agar hai to dikhā de mujh ko
tujh se miltā huuñ to aksar ye ḳhayāl aatā hai
is bulandī se agar koī girā de mujh ko
kab se patthar kī chaTTānoñ meñ huuñ gumnām o asiir
devtāoñ kī tarah koī jagā de mujh ko
ek ā.īna sar-e-rāh liye baiThā huuñ
jurm aisā hai ki har shaḳhs sazā de mujh ko
in añdheroñ meñ akelā hī jalūñgā kab tak
koī shai tū bhī to ḳhurshīd-numā de mujh ko
meri pahchan hai kya mera pata de mujh ko
koi aaina agar hai to dikha de mujh ko
tujh se milta hun to aksar ye KHayal aata hai
is bulandi se agar koi gira de mujh ko
kab se patthar ki chaTTanon mein hun gumnam o asir
dewtaon ki tarah koi jaga de mujh ko
ek aaina sar-e-rah liye baiTha hun
jurm aisa hai ki har shaKHs saza de mujh ko
in andheron mein akela hi jalunga kab tak
koi shai tu bhi to KHurshid-numa de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.