meri palkon ki dahliz par is tarah mere ashkon na tum jagmagate raho
meri palkon ki dahliz par is tarah mere ashkon na tum jagmagate raho
Aalam Nizami
MORE BYAalam Nizami
merī palkoñ kī dahlīz par is tarah mere ashkoñ na tum jagmagāte raho
kaifiyat dil kī zāhir kisī par na ho ġham ḳhushī kī jhalak meñ chhupāte raho
Dagmagāne na do hausloñ ke qadam apnī himmat kā rakhnā hai tum ko bharam
bijliyāñ āshiyāna jalātī raheñ tum nayā āshiyāna banāte raho
kar deñ vīrāñ na ye amn kī bastiyāñ buġhz-o-nafrat kī ye sar-phirī āñdhiyāñ
in ko rakhnā hai tum ko jo auqāt meñ tum charāġh-e-mohabbat jalāte raho
kyā ḳhabar kyā haiñ aisī bhī majbūriyāñ baḌh ga.iiñ ḳhūnī rishtoñ meñ bhī dūriyāñ
dosto ye taqāzā hai hālāt kā dūriyāñ tum diloñ kī miTāte raho
sar kaTe yā rahe is kā ġham na karo zulm ke sāmne tum kahīñ na jhuko
jo ġhalat hai tum us kī mazammat karo aur āvāz-e-haq bhī uThāte raho
jī lo ḳhud ke liye kuchh nahīñ fā.eda zindagī kā hai 'ālam' yahī qā'eda
maqsad-e-zindagī hogā hāsil tumheñ dūsroñ ke sadā kaam aate raho
meri palkon ki dahliz par is tarah mere ashkon na tum jagmagate raho
kaifiyat dil ki zahir kisi par na ho gham KHushi ki jhalak mein chhupate raho
Dagmagane na do hauslon ke qadam apni himmat ka rakhna hai tum ko bharam
bijliyan aashiyana jalati rahen tum naya aashiyana banate raho
kar den viran na ye amn ki bastiyan bughz-o-nafrat ki ye sar-phiri aandhiyan
in ko rakhna hai tum ko jo auqat mein tum charagh-e-mohabbat jalate raho
kya KHabar kya hain aisi bhi majburiyan baDh gain KHuni rishton mein bhi duriyan
dosto ye taqaza hai haalat ka duriyan tum dilon ki miTate raho
sar kaTe ya rahe is ka gham na karo zulm ke samne tum kahin na jhuko
jo ghalat hai tum us ki mazammat karo aur aawaz-e-haq bhi uThate raho
ji lo KHud ke liye kuchh nahin faeda zindagi ka hai 'alam' yahi qa'eda
maqsad-e-zindagi hoga hasil tumhein dusron ke sada kaam aate raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.